Vikram Pratap Singh - NARI {Jiske Bina Adhuri Duniya} By Vikram Pratap Singh

2014-11-10 2

Jisne hamko janam diya,
Usi ka hamne haran kiya,
Jisne hamko pala-posa, bada kiya,
Usi ko hamne tayag diya--.

Duniya me nari ka hai payara rista,
Juda isse, koi nahi rista---.

Nari MA banti hai to,
Baccho ka dukh dard mitati hai.

Nari PATNI banti hai to,
Pati ka dil bahlati hai.

Nari BAHAN banti hai to,
Bhai ki kalai ki sobha badhati hai.

Nari DOST banti hai to,
Dost hone ka farz nibhati hai.

Nari P.M, C.M banti banti hai to,
Desh ko pragti par pahuchati hai.

Nari mahan hoti hai phir bhi samman nahi pati hai,
Nari ka samman karo, Desh ka vikash karo.

Vikram Pratap Singh

http://www.poemhunter.com/poem/nari-jiske-bina-adhuri-duniya-by-vikram-pratap-singh/